Ye Duniya Computer se Design ki gayi he. Kya Ye Duniya Real He ?











yani ki ye duniya real he?

aisi concept aise question jab ap pehli bar sunoge to kahoge ki yaar ye kaisa aadmi he jo duniya ke hone par question ?Mark laga raha. 

Par jante kisi cheej par question mark ? lagane se hi uska real answer milega.

 Ye bilkul obvious question he ki ye duniya real he?

har cheej par question mark lagane se hi bade -bade discoveries or invention hote hein. Agar "sir isaac newton" ush din pedh se fal girte dekh ye na pucha hota hota ki ye fal niche kyon gir uper kyon nahi gira?

 to aaj hame lower gravity ke bare mein kuch pata hi nahi hota. Ush samay jab 
newton ne apne friends se ishke bare mein pucha ki fal niche kyon gira uper kyon nahi gira?

to uske friends hasne lage. To unhone 
newton se kaha ki tu palag he kya. Fal niche nahi girega to kya uper jayega?

Ushi treh aap bhi kahoge ki duniya nahi he ye kaisa question he?

ye duniya to ek dam real he or nahi to kya saree chize to apke samne ho rahi hein. Aap meri ye article padh rahe ho. Or apni zindgi ji rahe ho.

To ye duniya fake kaise ho sakti he?

to friends ready ho jao aisi hi interesting concept ko janne ke liye.

 Or jo mein ish article mein batunga ushe  pure khule mind or pure focus ke geharahi se padhna.

Jab mein bolt  ki ye duniya fake he ish bat se apke mind mein kaya aata he.

apke dimag mein koi or matlab bane par aasal bat ko suno ye duniya he. matlab the universe exist.

Ye bat sahi he  ish bat mein koi shak nahi he. ye duniya he matlab ish  bramahand ko fake hone ke lilye at the first place ish duniya ka hona jaruri he?

matlab aap ish bramahand ko ek box maniye jo ki ek contener he  or box ki ander ki cheejon ko bramahand ke aashli  chand tare maniye  to bat he matlab ki box yani contenar ho aasli he or baramand to aashli he. 

par ye duniya ke ander cheeje hein. Ki ye grah tare or chand insaan or janwar kya bo real he? 

aap jo mobile ya computer mein aap meri ish article ko padh rahe ho kya bo real he? 

matlab ye duniya he or ish duniya ke ander jo cheejein ushpar ham sawal utha rahein. 

Ish cheej ko samajhne ke liye hame ek example lena hoga. Apka mobile ya jo computer ka screen hota he agar aa ush screen ko dhyaan se dekhoge to aap ye notice karo ki jo screen he bo ki chote chote element se baana he jishe ham pixel kehte hein. Bo pixel aapas mein mil kar kam kar rahi hein.  

Or har second apna color change kar rahi hein. Jiske chalte apko aisa lagta ki ki aap screen par koi  video dekh rahe ho. 

kya Ye video real he?

ye to bas pixle ka kamal he. jo mobile pe aap  movies dekhte ho bo ek dum real lagti he.

par bo he kya?

Simply pixle ke dance ka kamal he. bo screen or bo batti pixle hoti hein.  Bo pixle to real he par scene  dikh raha hota he bo to bas ek illiuosion he  pixle aise beheb karti he ki aap apko lagta ki aap  koi scene dekh raho ho. 

Par realty mein bo pixel aasli he bo jo ush par dikh raha he bo fake he. 

kyoni aagar bo pixel nahi to video bhi nahi. Agar ham ishi concept ko ish bramand mein lagayein. 

To ek badi hi interesting bat samne aati he. ishe matrix ya simulation concept kehte hein. 

Ish concept ke anusaar ye duniya bhi kisi computer se design ki gayi he.

or ish bat ko aap gehrahi se dekhoge tab apko ye bat bilkul sach lagegi. Aapne science mein ye jarur padha hoga ki ish duniya mein moujood har cheej  electron proton or neutron ki bani he. 

to ish duniya mein sari ki sari basicly in teen se bani hein. Or jis treh hamne pixel bat ki he ushi treh in  teeno chizon ko pixpel man sakte hein.

Pixle ke rung badlne or dance ke chalte aisa lagta he ki aap koi video dekh raho. Bilkul ushi treh ish duniya mein jo atom ki moment he saree chizein to bahi se suro ho rahi hein. 

Apko dimag mein jo thought aa rahe hein. Bo kya he ?

bo apke brain ke "nutrition" ka kamal he. dimg mein nutrition ki beech jo firing ho rahi he. ushi ke chalte  aap meri baton ko samjh pa rahe ho. To agar deep mein dekhein. To apke brain ko jo nutrition he bo bhi to atom ki bani ho he. 

dekha jaye  to atom mein dance he thik ushi ke chalte firing ho rahi he. or ushi ke chalte apke dimag mein thoughts aa rahein hein.

Or duniya se kuch bhi utha bo sabhi chejein in teeno se bani hein.

Mat lab ish duniya mein jo kuch bhi he bo atoms matlab in atoms ki connection apko duniya ke rup mein dikhti he. 

matlab par ye he to ek atom he. matllab realty sirf atom he. or  matlab jo dikh raha he bo sab illusion he. matlab fundamental level mein sirf atom exist karte hein. 

Ya fir koi atom se choti koi cheej he jo exist karti he. 

aisi bat nahi he ki atom se choti chizein nahi. Aise bhot se particle hein jo atom se bhot chote hein hein par science unhe aaj tak details mein study nahi kar payi he. 

Ish liye mein unhe aaj consider nahi karunga. 

Par in pixle yani ki atom ko kisne banaya ishka koi na koi creator to hona chahiye na. 

ishki programming akhir kisne ki he?

ji  ha maine programming kaha.  Kaya aisa  nahi ho sakta ki aap computer world mein ji rahe ho.

agar aap computer programmer ya hacker ho. 

Matlab computer programming or coding jante ho. 

Tab aap meri baton ko aasani se samajh jaoge. 
Jo computer games hote bo apne ander ki dunia hoti he. 

ek aisi duniya jo game  coder mil kar taiyar karte  hein bo duniya kitni real lagti. 

Par kya bo real he ? 

bilkul nahi hein. Bo programming se milke banaya gaya virtual duniya he.

jo ye matrix ya simulation concept he bo  bhi yahi kehti he kiya ye duniya bhi ek computer  game he matlab computer simulation he. 

agar mein main bat par aaun to agar ye duniya computer simulation he to  ishe banane bala hi koi hana chahiye right. 

Sayad ishke piche ek intelligent mind ka hath ho. Ab aap hi socho mat lab aapki dhadkan chal rahi he. 
apke sareer mein khoon dodh raha he. dharti ghoom rahi he. 

ye sab automatic ho raha he. par in sab chijon ki suruat kaha se huyi matlab koi to aisa pehle force hoga jo ish duniya ke pehle atom ko banaya hoga. 


Matlab dekho ish duniya ki important question kya he. 

aapse hi suruat karta hun.
Q:     Aap ho  matlab aap yaha par kaise aaye ho ?
A:     apko apke mom dad ne janm diya he .

Q:     apke mod dad kaha se aaye?A:     ap poor bajo ke chalte aaye.
Q:     apke poorbaj kaha se aaye?
Instant human time se hi apke  poorbaj envelope huye hein.

Q:     ab ye e
nvelope kaise huye  ?
A:     kyonki dharti par aisi condition bani.
Q:     ye dharti kaisi aayi?
A:      ye dharti ye  hamre  sourmandal ke  formation ke  chalte aayi.

Q:     ye sourmandal kaha se aaya?
A:     dhire  - dhire  stars or planets ki matra badi to bo mil kar ek sparkcell ka roop le liya.
jishe ham galaxy kehte hein. Or ush galaxy ke under sourmandal form ho gya.
Q:    to ish galaxy ke tare banna kaha se sure huye?
A:     tab banna suru huye tab bramahand ki suraat huyi.

Q:     Ab ye bramahand kab or kyon or kaise suru hua ?

bas yahi bo ek question he jaha aaker ham Atak jate hein.

ishke piche kya hua tha ye koi  nahi jan sakta. Jo log matrix or concept pe believe karte hein. 

Unke pas ek theory he. or bo ye mante hein. Ki ish duniya ko jo program ki he bo aise parameter set karke rakha he jo ishke behind key a he ushe jan nahi sakte.

Kyonki ish duniya ki programing ushe allow hi nahi karti he. 

unke pas ek theory or bhi he. jo ye kehti he. ish world ki programming koi or nahi  balki apka mind karta he. 

or apne  subconscious mind ki power se ap ish duniya ki coding ko badal sakte ho. 

Or hack bhi kar sakte ho.  Meine ek video ke bare mein bataya tha na.
kisi cheej ke bare mein bar -bar sochte rahoge na to aaj nahi to kal bo apko mil hi jayegi. 

To ushi ko aap subconscious mind ke through haking keh sakte ho. 

Jo lower contraction ke through hota he. 

ye duniya kaise  hee ye apke mind par depended he. 

matlab kuch bhi fundamental nahi he.  

jo ek insan ke liye sahi he bo dusre insaan ke liye galat bhi ho sakta he. 

matlab jo cheej  kisi insan “A” ke liye sahi he bo sayad “B” ke liye galat ho. 

Aise man lijiye ki “GTA vice city” game bhot pasand he  or jaise ki apka dost ush game ko bilkul pasand nahi karta. 

Ushe koi or game pasand he. to dekha jaye fundamentally “GTA vice city” acha game he. iska answer asal mein exist hi nahi hota he. 

kyonki ush particular insaan ki dimagi mindset kaisi he. bo ush par depend karta he. koi particular cheej ush particular insan ko pasand aayegi ki nahi?


Jishe apka mind kahega ba kya mast game he  par sayad apka dost kahe kahe ki kaya faltu game he tujhe kaise mast lag raha he mujhe samjh hi nahi aata. 

Matlab bo game acha he ya kharab ye ush person ke mind ke thought par depend karta he? 

matlab aap kisi cheej ko acha ya bura nahi keha sakte.  Bachpan se aap jis environment mein ji rahe ho. 

Ushi pe depend karta he ki apko kis treh ki chijein pasand hein. Or kis treh ki chijein na pasand hein. 

To aap ish bat ko samjh hi sakte ho ki life apke sath kaise game khel rahi he?
life khud ek game he sayda in concept ke bare mein kuch hi logo ko pata hoga. Or kuch hi log ish matrix bali theory ko mante hein. 

Par technology jaise-jaise aage badegi to ham ish duniya ke secret ko jan sakegein.
Author image
About the Author

Hey I'm Raj kushwah; a blogger from India. On my Youtube video channel I talk about Blogging, WordPress, SEO, If you want to blogging and want to focus your career on blogging, then this channel is perfect for you. Subscribe to stay updated with channel udpates.

Follow me on:

Ye Duniya Computer se Design ki gayi he. Kya Ye Duniya Real He ? Ye Duniya Computer se Design ki gayi he. Kya Ye Duniya Real He ? Reviewed by VIJENDRA KUSHWAHA on 10:52:00 PM Rating: 5

1 comment:

Apka comment yaha par karein.

Powered by Blogger.