This is inspirational and motivational Biography of Sandeep Maheshwari in Hindi. This article tells about Sandeep Maheshwari ceo and founder of successful company Images Bazaar. this Inspirational and motivational stories article will give idea and tips to perform better in your life.
Jo likhauga sach likhunga or sach ke shiva koi bich mein filtar nahi karunga are you on exited.
mein aaj apko Sandeep maheshwari ki success story batunga. Ye story meri man ganhat story nahi he Sandeep ji ne khud apne k ek seminar mein apne bare mein bataya tha bo unka last seminar tha.
mein aaj apko Sandeep maheshwari ki success story batunga. Ye story meri man ganhat story nahi he Sandeep ji ne khud apne k ek seminar mein apne bare mein bataya tha bo unka last seminar tha.
uper maine jo video ke bare mein bataya he aap ushe jarur dekhna sahad aap apni life mein kuch acha kar sako.
Sandeep success to hona chahte the kuch karna to chahte the par mante the ki bo kuch nahi kar sakte.
Sandeep bachpan mein sochte the ki hawa mein udunga par jaise-jaise bade huye to jameen par chalne mein bhi dar lagne laga. Unki life ki ek aisi stage aa gayi thi ki bo apni life mein kuch kar hi nahi sakte the.
Sandeep ke middle class background se belong karte hein. Bo ke chote se ghar mein rahte the jismein do room hua karte the unke pass limited paisa hota tha or ghar bhi kiray ka tha. Unke padosh mein koi rehta tha. Unka friend tha puneet nam tha uska unke paas bhot acha paisa hota tha. Or uske papa ne usko ek red color ki cycle dila di important cycle pehle bo park mein khelne jate the usi ke sath or race karte the to Sandeep hamesa jeette the. Or bo paidel hote the or bo cycle pe hua karta tha jisse Sandeep har jate the. Or unhone bhi ghar jake jid pakad li papa mujhe aisi cycle chahiye. Or har hal mein chahiye or kal hi chahiye mein nahi rukunga nhi mein kuch manuga. Or unke papa ne kaha 6 mahine bad tera birthday aa raha he dila denge tere ko cycle. Or bo nahi mane or bo apni jid par tike rahe or jab agle hi din ushke papa office se thake huye ghar aaye to or unki mammi ne jake bataya ki Sandeep ne kuch kaya peeya nahi he or cycle ki zid kar raha he ap ushe cycle dila hi kyon nahi dete. Jaise hi unki mother ne ye bat ki to unko gussa aa gaya. Or Bo bolo mein koi tata birla nahi hun. Jo ishki sari farmaise poori karta rahun. Nahi dila sakta cycle jao jo karna he karlo. Or Sandeep is bat ko sun rahe the. Or fir bo agle hi din chup chap apni mammi ke pas gaye or bolo (ush waqt unki umar 5-6 sal hogi.) sandeen ne kaha ki ye tata birla kya hota he. To Sandeep ki mammi ne kaha ki ye bo log hotein hein jinke pas bhot sara paisa hota he. Or bo ishi bat se khus ho gaye or bole acha mammi ham tata birala kyon nahi hein. Or fir uski mammi boli mujhe kya pata beta tu bahar ja kar khel na mera dimag kyon kha raha he. or fir Sandeep baha se chale gaye or fir unke pas mein hi ek aunty rahti thi or phir unhone pucha aunty ye tata birala kya hota he or fir unse unhone tata birla ke barein mein sabkuch jan liya. Or fir bo ghar gaye or apni mammi se bol diya ki mein bada hokar tata birla banunga. Or har ma ko apne bete ko dekhkar bhot khusi hoti hein so bo boli ha ha tata birla baniyo. Mera beta tata birla jarur banega. Or fir unki mammi ne sabko bata diya ki Sandeep tata birla banega. Jo bhi unke family mein tha chacha-chachi dada etc. the sabko bata diya ki mera beta tata birla banega. Or fir sab ish bat ko leke Sandeep ka majak udhane lage. Lekin Sandeep ko ye pata nahi tha ki tata birla kya hota he par unke ye bat achhi treh pata thi ki unki bat ka majak banaya ja raha he. or fir unhone socha ye sab log mere ghar ke hein or mere apne hein sayda sach hi bol rahein hein ki mein tata birla kaise banunga. or mujhe to pata bhi nahi ki tata birla kaise bante hein. Mein to abhi khud bacha hun. Jab Sandeep 15 years ke the to unki family par ke bhot badi musibat aa gayi. Unke pita ka aluminium ka business tha jo partner ke huye jhagde se unhe bo business chodna padha. Ye Sandeep ke parivar par bhot bada sankat tha. Ish bat ko leke unke papa bhot chinta karte the. Or Sandeep bhi sochne lage ki mujhe bhi kuch karna chaiye.Or jaise- jaise Sandeep 18 years ke huye to unko 10000-15000 hajar ki noukri bhi achhi lagne lagi. STD pco chalaya nahi chala. Fir Sandeep ne ek call center mein interview dene ke liye gaye baha par bhi noukri nahi or aisi bhot si jagagh se Sandeep ji ne dhakke khayein hein. Ek din aisa bhi aa gaya tha ki agar koi kahein bhai Sandeep ye lo 6000 rupe or apko 12 ghante kam karna hoga to Sandeep us kam ko bhi kar sakte the chahe bo mehant ko ho aaram ka ushko isse koi fark nahi padhta. Ek din Sandeep ek seminar mein gayein jaha par unhe teen ghante mein kuch mein samjh nahi aaya. seminar ke ant mein ushi ladke ne bataya ki uski age 21 years (old) he or bo mahine ka 2,50,000 rupee kamata he to ish bat ko sunkar Sandeep ke niche se jameen nikal gayi. Or fir unke ander se ek aawaz aayi ki ye kama sakta he to mein kyon nahi. Agar ye kar sakta he to mein bhi kar sakta hun. Sandeep ko modling photography mein interest tha Sandeep callage time se hi modling feeld mein ghuse to unhe pata chala ki har dusra insaan model banna chahta he. or ishe dekhar Sandeep ne un sabhi logo ki help karni ki sochi jo model banna chahte hein or ushi waqt Sandeep ne than liya ki kuch inke liye karna he.or isiliye unhone mas autio visual nam ki ek company kholi jo model ki photos banati thi. Lekin ish company mein bhi unhe jyda safalta nahi mili or bo fail ho gaye. Or unhone har nahi mani or mehnat karte gayein or unhone ab photography seekhi or 2003 mein keval 10 ghante mein lagbhag 100 model ke 10,000 photo click kiye or ki visw record bana dala or ish viswrecord se Sandeep ko kafi pehchan mili. Or fir 2006 mein unhone www.imagesbazaar.com lounch ki lekin suruat mein thodi hi images the or thode photographer the. Lekin aaj is website par billions images hein or ye company har sal karoro ki kamati he. itni safalta ke bad bhi Sandeep ruke nahi or jindgi ke anubhav se logo motivate karne ka mission bana liya he or aaj bhi Sandeep ji motivational seminar karte hein agar. Mujhe Sandeep ji har video acha lagta he agar aap unke seminar online dekhna chahtein hein to yaha visit kar sakte hein. Sandeep maheshwari hairan karne wali bat to ye he ki Sandeep ji motivational seminar ke paise nahi lete hein . Sandeep ke ish Jeevan se “hame ye seekh milti he jindgi kitni bhi mushkil kyon na ho jaye hamein har nahi manna chahiye.”
unka kehna he ki “ galti ish bat ka sabot hein ki aap kuch prayash kar rehin.”
mein ummid karta hun ki apko mera ye article pasand aaya hoga please subscribe me on youtue.
mein ummid karta hun ki apko mera ye article pasand aaya hoga please subscribe me on youtue.
Most Powerful Success Story Sandeep Maheshwari
Reviewed by VIJENDRA KUSHWAHA
on
9:49:00 PM
Rating:
sir bahut achhi post. Best guider for students.
ReplyDeleteSach me ye story bahut hi powerful story hai
ReplyDeleteReally appreciate this wonderful post that you have provided for us.Great site and a great topic as well i really get amazed to read this. Its really good. Ongoing Maintenance Plan
ReplyDeleteI’m going to read this. I’ll be sure to come back. thanks for sharing. and also This article gives the light in which we can observe the reality. this is very nice one and gives indepth information. thanks for this nice article... ipagal
ReplyDelete